اردو हिंदी
Ab aar-par dhyan ki mashal kahan hai zeb | Shaahi Shayari
ab aar-par dhyan ki mashal kahan hai zeb

Ghazal

Ab aar-par dhyan ki mashal kahan hai zeb

Rajinder Manchanda Bani

;

ab aar-par dhyan ki mashal kahan hai zeb
gunjaan dard ka mere andar dhuan hai zeb

gaDe siyah mein hai lahu ki lapak na lahr
kyun is qadar bhi naqsh-e-nafas be-nishan hai zeb

kyun be-asar hai meri dua sahn-e-subh mein
kyun shab-kade mein meri fughan raegan hai zeb

kyun muTThi-bhar sarab se nuqsan-e-dasht hai
kyun aankh-bhar nami se chaman ka ziyan hai zeb