ab aaftab-e-munawwar pe qurb-e-sham hua
ek aur sal meri umr ka tamam hua
ragon mein gardish-e-KHun ka ghulam Thahra hai
na us badan ka kabhi mujh se ehtiram hua
mere chahaar-taraf hai hisar-e-maharumi
tamam-umr kaTi aur na koi kaam hua
koi zamin na daldal na aasman hai ab
kahan pahunch ke meri rah ka iKHtitam hua
ajab latif si tezabiyat thi lahje mein
baDe KHulus se jis dam wo ham-kalam hua
suna hai raat farishte chhupe the mabad mein
hamare shahar mein phir aaj qatl-e-am hua
hazar qatl ke badle mein ye saadat hai
ki ek shaKHs kisi qaum ka imam hua
Ghazal
Ab aaftab-e-munawwar pe qurb-e-sham hua
Shafeeq Abbas