اردو हिंदी
Ab aa gaya hai jahan mein to muskuraata ja | Shaahi Shayari
ab aa gaya hai jahan mein to muskuraata ja

Ghazal

Ab aa gaya hai jahan mein to muskuraata ja

Ali Sardar Jafri

;

ab aa gaya hai jahan mein to muskuraata ja
chaman ke phul dilon ke kanwal khilata ja

adam hayat se pahle adam hayat ke baad
ye ek pal hai use jawedan banata ja

bhaTak rahi hai andhere mein zindagi ki baraat
koi charagh sar-e-rahguzar jalata ja

guzar chaman se misal-e-nasim-e-subh-e-bahaar
gulon ko chheD ke kanTon ko gudgudata ja

rah-e-daraaz hai aur dur shauq ki manzil
garan hai marhala-e-umr git gata ja

bala se bazm mein gar zauq-e-naghmagi kam hai
nawa-e-talKH ko kuchh talKH-tar banata ja

jo ho sake to badal zindagi ko KHud warna
nazhad-e-nau ko tariq-e-junun sikhata ja

dikha ke jalwa-e-farda bana de diwana
nae zamane ke ruKH se naqab uThata ja

bahut dinon se dil-o-jaan ki mahfilen hain udas
koi tarana koi dastan sunata ja