اردو हिंदी
Ab aa gae ho to raftagan ko bhi yaad rakhna | Shaahi Shayari
ab aa gae ho to raftagan ko bhi yaad rakhna

Ghazal

Ab aa gae ho to raftagan ko bhi yaad rakhna

Fayyaz tahseen

;

ab aa gae ho to raftagan ko bhi yaad rakhna
bichhaDte lamhon ki dastan ko bhi yaad rakhna

zamin pe apne qadam jama kar na bhul jaana
saron pe Thahre is aasman ko bhi yaad rakhna

hawa-e-tishna ka chhin lena makin-e-jaan ko
magar larazte hue makan ko bhi yaad rakhna

sarab aaKHir meri hi aankhon ka moajaza hai
yaqin ki manzil mein is guman ko bhi yaad rakhna

agarche KHwahish ka aks lafzon mein aa gaya hai
jo chashm-e-tar mein hai is zaban ko bhi yaad rakhna

tujhe KHabar hai ki ibtida bhi hai intiha bhi
jahan-e-mani mein darmiyan ko bhi yaad rakhna

kabhi jo aibon ke tir ghael karen nazar ko
to KHwahishon ki jhuki kaman ko bhi yaad rakhna