ab aa bhi jao, bahut din hue mile hue bhi
bhula hi denge agar dil mein kuchh gile hue bhi
hamari rah alag hai, hamare KHwab juda
hum un ke sath na honge, jo qafile hue bhi
hujum-e-shahr-e-KHirad mein bhi hum se ahl-e-junun
alag dikhenge, gareban jo hon sile hue bhi
hamein na yaad dilao hamare KHwab-e-suKHan
ki ek umr hue honT tak hile hue bhi
nazar ki, aur manazir ki baat apni jagah
hamare dil ke kahan ab, jo silsile hue bhi
yahan hai chaak-e-qafas se udhar ek aur qafas
so hum ko kya, jo chaman mein hon gul khule hue bhi
hamein to apne usulon ki jang jitni hai
kise gharaz, jo koi fath ke sile hue bhi
Ghazal
Ab aa bhi jao, bahut din hue mile hue bhi
Irfan Sattar