aazmane zist ki jab talKHiyan aa jaengi
ru-ba-ru sari hamari KHamiyan aa jaengi
shart ye hai aap ke hathon sajaen gul-dan mein
phul kaghaz ke bhi hon to titliyan aa jaengi
be-zaban rahne ka sara lutf hi kho jaega
zad mein aawazon ke jab KHamoshiyan aa jaengi
sukh jaenge samundar jab bhi bahar ke kabhi
ghar mein mere hasraton ki machhliyan aa jaengi
chilchilati dhup mein wo jab bhi aaenge nazar
ek pal mein shahr mein phir sardiyan aa jaengi
aankh mein mahbub ki shiddat se dekho jhank kar
shairi ki sab tumhein barikiyan aa jaengi
yaad kar ke wasl ke pal kaT lenge zindagi
darmiyan jab bhi hamare duriyan aa jaengi
asl mein to tab hi hoga 'shoKH' us ka imtihan
samne jab pyar ke majburiyan aa jaengi
Ghazal
Aazmane zist ki jab talKHiyan aa jaengi
Parvindar shokh