اردو हिंदी
Aazadi mein rahne wale dekho kaise rahte hain | Shaahi Shayari
aazadi mein rahne wale dekho kaise rahte hain

Ghazal

Aazadi mein rahne wale dekho kaise rahte hain

Mahir Abdul Hayee

;

aazadi mein rahne wale dekho kaise rahte hain
apne sae se Darte hain chaunke chaunke rahte hain

hare-bhare peDon ke upar jin ke Thor Thikane the
ab wo panchhi shor-e-zamin par dhup mein jalte rahte hain

Takraate rahte hain aksar patthar jaise logon se
hum dil wale kirchi kirchi aaine se rahte hain

gahrai se moti lane walon ka ye haal hua
sahil ki aaghosh mein baiThe lahren ginte rahte hain

lau ki zad mein rahne walo un ki or na dekho tum
baadal ki hamrahi mein jo aksar bhige rahte hain

aaKHir aaKHir KHud bhi zaKHmi ho kar hote hain bad-haal
awwal awwal zaKHmon ke saudagar achchhe rahte hain

kaise kaise maile ho kar wapas aate hain 'mahir'
log nikalte hain jab ghar se ujle ujle rahte hain