اردو हिंदी
Aaya nahin wo jaur ka KHugar tamam raat | Shaahi Shayari
aaya nahin wo jaur ka KHugar tamam raat

Ghazal

Aaya nahin wo jaur ka KHugar tamam raat

Jauhar Zahiri

;

aaya nahin wo jaur ka KHugar tamam raat
taDpa kiya mera dil-e-muztar tamam raat

nind us ke husn-e-ruKH ke tasawwur mein aai thi
dekha hai barq-e-tur ka manzar tamam raat

ye raaz mujh pe shama ke anjam se khula
kaTti hai hijr-e-yar mein kyunkar tamam raat

ai ham-nafas na puchh shab-e-hijr ka azab
aankhon mein kaTni paDi akasr tamam raat

ek hum na un ki yaad mein jhapka sake palak
ek wo ki mahw-e-baada-o-saghar tamam raat

waqt-e-sahar ye jaana ki jage hain hum magar
sota raha hamara muqaddar tamam raat

sincha hai aansuon se bahut naKHl-e-arzu
lekin samar na aa saka 'jauhar' tamam raat