aaya na ras nala-e-dil ka asar mujhe
ab tum mile to kuchh nahin apni KHabar mujhe
dil le ke mujh se dete ho dagh-e-jigar mujhe
ye baat bhulne ki nahin umr bhar mujhe
har-su dikhai dete hain wo jalwa-gar mujhe
kya kya fareb deti hai meri nazar mujhe
milti nahin hai lazzat-e-dard-e-jigar mujhe
bhuli hui na ho nigah-e-fitnagar mujhe
Dala hai be-KHudi ne ajab rah par mujhe
aankhen hain aur kuchh nahin aata nazar mujhe
karna hai aaj hazrat-e-naseh se samna
mil jae do ghaDi ko tumhaari nazar mujhe
mastana kar raha hun rah-e-ashiqi ko tai
le jae jazb-e-shauq mera ab jidhar mujhe
Darta hun jalwa-e-ruKH-e-jaanan ko dekh kar
apna bana na le kahin meri nazar mujhe
yaksan hai husn-o-ishq ki sar-mastiyon ka rang
un ki KHabar unhen hai na meri KHabar mujhe
marna hai un ke panw pe rakh kar sar-e-niyaz
karna hai aaj qissa-e-gham muKHtasar mujhe
sine se dil aziz hai dil se ho tum aziz
sab se magar aziz hai teri nazar mujhe
main dur hun to ru-e-suKHan mujh se kis liye
tum pas ho to kyun nahin aate nazar mujhe
kya jaaniye qafas mein rahe kya moamla
ab tak to hain aziz mere baal-o-par mujhe
Ghazal
Aaya na ras nala-e-dil ka asar mujhe
Jigar Moradabadi