aaya hai subh nind sun uTh rasmasa hua
jama gale mein raat ke phulon basa hua
kam mat gino ye baKHt-siyahon ka rang-e-zard
sona wahi jo howe kasauTi kasa hua
andaz sin ziyaada nipaT naz KHush nahin
jo KHal had se ziyaada baDha so masa hua
qamat ka sab jagat munin baala hua hai nam
qad is qadar buland tumhaara rasa hua
zahid ke qadd-e-KHam kun musawwir ne jab likha
tab click hath bich jo tha so asa hua
dil yun Dare hai zulf ka mara wo phunk sin
rassi sin azhdahe ka Dare jun Dasa hua
ai 'abru' awal sen samajh pech ishq ka
phir zulf sin nikal na sake dil phansa hua
Ghazal
Aaya hai subh nind sun uTh rasmasa hua
Abroo Shah Mubarak