aaya hai ek shaKHs ajab aan-ban ka
naqsha badal gaya hai purane makan ka
tare se TuTte hain abhi tak idhar-udhar
baqi hai kuchh nasha abhi kal ki uDan ka
kalak si jam rahi hai chamakti zamin par
suraj se jal uTha hai waraq aasman ka
dariya mein dur dur talak kashtiyan na thin
KHatra na tha hawa ko kisi baadban ka
donon ke dil mein KHauf tha maidan-e-jang mein
donon ka KHauf fasla tha darmiyan ka
'alwi' kiwaD khol ke dekha to kuchh na tha
wo to qusur tha mere wahm-o-guman ka
Ghazal
Aaya hai ek shaKHs ajab aan-ban ka
Mohammad Alvi