aawe KHizan chaman ki taraf gar main ru karun
ghuncha kare gulon ko saba gar main bu karun
aazurda is chaman mein hun manind-e-barg-e-KHushk
chheDe jo Tuk nasim mujhe sau ghulu karun
aankhon se jae ashk girin gul chaman chaman
manzur girya gar main tera rang-o-bu karun
aaya hun para-dozi-e-dil se nipaT ba-tang
aise phaTe hue ko main kab tak rafu karun
kya aarzu ki KHak mein apni milen na yan
kis ru se ab falak se main kuchh aarzu karun
kahta hai aaina ki hai tujh sa hi ek aur
bawar nahin to la main tere ru-ba-ru karun
sare hi is chaman se hawa-KHwah uTh gae
roun gulon ko ya main gham-e-rang-o-bu karun
'qaem' ye ji mein hai ki taqayyud se shaiKH ki
ab ke jo main namaz karun be-wazu karun
Ghazal
Aawe KHizan chaman ki taraf gar main ru karun
Qayem Chandpuri