aawazon se jism hua nam
jaise ek na-bina sa gham
honTon mein dariya ka qatra
chadar mein KHush-bu jaisa KHam
aainon ka rang hamesha
aisa jaise honTon mein dam
kam hoti aankhon ke bhitar
binai ke shital sargam
sar uncha unchi tanhai
qadmon mein begana aadam
dariya mein uryan har lamha
bahon ke andar bahta yam
nam chehre KHam hote chadar
chehron mein yaksan hote sam
shab ki ek tanha sirat mein
lab ki har dastak hoti kam
ek dastak dastak ko sunti
lohu ka sakit hota KHam
Ghazal
Aawazon se jism hua nam
Salahuddin Mahmood