aawaza-e-KHayal kahin gunjta hua
aur us pe sara sahn-e-suKHan jagta hua
dast-e-dua buland hua tha yahin kahin
apne liye KHuda se tujhe mangta hua
aaKHir mein thak ke baiTh gaya KHushk ghas par
phulon ke darmiyan tujhe DhunDhta hua
hairat hamari aankh ko lalkarti hui
manzar darun-e-KHwab koi dauDta hua
logon ke sath saf mein khaDa ho gaya 'wasim'
farz-e-kifaya mein bhi ise jaanta hua

Ghazal
Aawaza-e-KHayal kahin gunjta hua
Waseem Tashif