aawara hun rain-basera koi nahin mera
gali gali karta hun phera koi nahin mera
teri aas pe jita tha main wo bhi KHatm hui
ab duniya mein kaun hai mera koi nahin mera
tere bajae kaun tha mera pahle bhi phir bhi
jab se sath chhuTa hai tera koi nahin mera
jab bhi chand se chehre dekhe bhig gain palken
phail gaya har samt andhera koi nahin mera
ajab nahin koi lahr uThe jo par laga de naw
dard ki dhun mein gae machhera koi nahin mera
koi musafir hi ruk jae pal do pal ke liye
muddat se viran hai Dera koi nahin mera
main ne qadr-e-tirgi-e-shab ab pahchani jab
guzar gai shab hua sawera koi nahin mera
koi nahin hai jis ke hathon zahr piyun mar jaun
bin bajae jae sapera koi nahin mera
Ghazal
Aawara hun rain-basera koi nahin mera
Anwar Shuoor