aawara bhaTakta raha paigham kisi ka
maktub kisi aur ka tha nam kisi ka
hai ek hi lamha jo kahin wasl kahin hijr
taklif kisi ke liye aaram kisi ka
kuchh logon ko ruKHsat bhi kiya karti hai zalim
rasta bhi taka karti hai ye sham kisi ka
ek qahr hua karti hai ye mahfil-e-mai hai bhi
jab honT kisi aur ka ho jam kisi ka
muddat hui Dube hue KHwabon ka safina
maujon pe chamakta hai magar nam kisi ka
Ghazal
Aawara bhaTakta raha paigham kisi ka
Ain Tabish