aatish-fishan zaban hi nahin thi badan bhi tha
dariya jo munjamid hai kabhi maujzan bhi tha
main apni KHwahishon se wafadar tha so hun
gham warna dil-KHarash bhi KHwahish-shikan bhi tha
kale KHamosh pani ko ehsas tak nahin
chehre pe marne wale ke ek bankpan bhi tha
kis tarah mahr o mah ko karte alag 'fuzail'
shoala-nafas jo tha wahi gul-pairahan bhi tha
Ghazal
Aatish-fishan zaban hi nahin thi badan bhi tha
Fuzail Jafri