aaThon pahr lahu mein nahaya kare koi
yun bhi na apne dard ko dariya kare koi
aD jaegi fasil-e-shab-e-jabr toD kar
qaidi nahin hawa jise andha kare koi
dil taKHta-e-gulab bhi aatish-fishan bhi hai
is rah-guzar se roz na guzra kare koi
oDhi hai us ne sard KHamoshi misal-e-sang
lafzon ke aabshaar giraya kare koi
pani ki tarah phail gai ghar mein sham-e-hijr
ta-subh Dub Dub ke ubhra kare koi
main hun kisi sada ke shikanje mein 'jafari'
mera pata hawaon se puchha kare koi

Ghazal
AaThon pahr lahu mein nahaya kare koi
Fuzail Jafri