aate rahte hain falak se bhi ishaare kuchh na kuchh
baat kar lete hain hum se chand tare kuchh na kuchh
ek kafir ki masihai ke dast-e-faiz se
mil rahe hain zaKHm ke donon kinare kuchh na kuchh
rang har dimak-zada taswir mein bharte rahe
ek tasalli ke liye hijran ke mare kuchh na kuchh
ek purana KHat kai phulon ki sukhi pattiyan
is bayaz-e-zindagi mein hain sahaare kuchh na kuchh
hai wahi qamat wahi manus se naqsh-o-nigar
aisa lagta hai kabhi wo the hamare kuchh na kuchh
waqt ke be-rahm sannaTon mein bahti zindagi
hai sada ki muntazir koi pukare kuchh na kuchh

Ghazal
Aate rahte hain falak se bhi ishaare kuchh na kuchh
Yasmeen Habeeb