aate hi jawani ke li husn ne angDai
is samt giri bijli us samt qaza aai
jis samt se guzra hun aawaz yahi aai
diwana hai diwana saudai hai saudai
bhule hi se aa jao mahki hui raaten hain
barsat ka mausam hai Dasti hui tanhai
sachchai ke diwane chaDhte hain salibon par
sadiyon se zamane mein ye rasm chali aai
aalam-o-masaib ka chaDhta hua dariya hai
ai josh-e-tawanai ai josh-e-tawanai
ab kaun sune baaten bahke hue waiz ki
chalte hain 'shafaq' hum to wo kali ghaTa aai
Ghazal
Aate hi jawani ke li husn ne angDai
Gopal Krishna Shafaq