aate aate mera nam sa rah gaya
us ke honTon pe kuchh kanpta rah gaya
raat mujrim thi daman bacha le gai
din gawahon ki saf mein khaDa rah gaya
wo mere samne hi gaya aur main
raste ki tarah dekhta rah gaya
jhuT wale kahin se kahin baDh gae
aur main tha ki sach bolta rah gaya
aandhiyon ke irade to achchhe na hai
ye diya kaise jalta hua rah gaya
us ko kandhon pe le ja rahe hain 'wasim'
aur wo jine ka haq mangta rah gaya
Ghazal
Aate aate mera nam sa rah gaya
Waseem Barelvi