aata hi nahin hone ka yaqin kya baat karun
hai dur bahut wo KHwab-nashin kya baat karun
kya baat karun jo aks tha meri aankhon mein
wo chhoD gaya ek sham kahin kya baat karun
kya baat karun jo ghaDiyan meri hamdam thin
wo ghaDiyan hi aazar banin kya baat karun
kya baat karun mere sathi mujh se chhuT gae
wo log nahin wo KHwab nahin kya baat karun
kya baat karun ye log bhala kab sunte hain
sab baaten andar Dub gain kya baat karun
kya baat karun apnon ki jitni lashen thin
mere sine mein sab aan girin kya baat karun
kya baat karun jo baaten tum se karni thin
ab un baaton ka waqt nahin kya baat karun
kya baat karun kabhi pani baaten karta tha
ye dariya is ki KHushk zamin kya baat karun
kya baat karun sahra mein chand akela hai
aur mere sath bhi koi nahin kya baat karun
kya baat karun 'rizwan' ki rona aata hai
sab baaten us ki baat se thin kya baat karun
Ghazal
Aata hi nahin hone ka yaqin kya baat karun
Ahmad Rizwan