aasman sa mujhe ghar de dena
KHak ho jaun to parde dena
samna aaj ana se hoga
baat rakhni hai to sar de dena
jaane kab se hai dhundlakon ka shikar
nuqte ko shams o qamar de dena
talib-e-waqt nahin hun lekin
maut tak chaar-pahar de dena
jo pata puchhen mera tum un ko
muTThi bhar gard-e-safar de dena
kal ka din be-KHabari ka hoga
sare parchon mein KHabar de dena
de diya hai jo qalam hathon mein
ab suKHan mein bhi asar de dena
phir 'raza' jalwa-numa hota hai
man ke andhon ko nazar de dena
Ghazal
Aasman sa mujhe ghar de dena
Kalidas Gupta Raza