aasman par hai dimagh us ka KHud-arai ke sath
mah ko taulega shayad apni ranai ke sath
sair kar aalam ki ghafil didani hai ye tilism
lutf hai in donon aankhon ka to binai ke sath
dil kahin hai jaan kahin hai main kahin aankhen kahin
dosti achchhi nahin mahbub harjai ke sath
is mein zikr-e-yar hai is mein KHayal-e-yar hai
apni KHamoshi bhi ham-palla hai goyai ke sath
ahd-e-piri mein wo aalam naujawani ka kahan
walwale jate rahe sari tawanai ke sath
dida-e-ahu kahan wo ankhDiyan kali kahan
kya muqabil kijiye shahri ko sahrai ke sath
dil nahin gurg-e-baghal hai zabt se KHun kar use
kar-e-dushman karte hain ai dost danai ke sath
ek bose par gareban-gir ai nadan na ho
teri ruswai bhi hai aashiq ki ruswai ke sath
dil to diwana hai 'ahqar' tu bhi diwana na ho
koi saudai bana karta hai saudai ke sath

Ghazal
Aasman par hai dimagh us ka KHud-arai ke sath
Radhe Shiyam Rastogi Ahqar