اردو हिंदी
Aasman ka sard sannaTa pighalta jaega | Shaahi Shayari
aasman ka sard sannaTa pighalta jaega

Ghazal

Aasman ka sard sannaTa pighalta jaega

Rajinder Manchanda Bani

;

aasman ka sard sannaTa pighalta jaega
aankh khulti jaegi manzar badalta jaega

phailti jaegi chaaron samt ek KHush-raunaqi
ek mausam mere andar se nikalta jaega

meri rahon mein hasin kirnen bikharti jaengi
aaKHiri tara pas-e-kohsar Dhalta jaega

bhulta jaunga guzri saaton ke hadse
qahr-e-ainda bhi mere sar se Talta jaega

rah ab koi ho manzil ki taraf le jaegi
panw ab kaisa paDe KHud hi sambhalta jaega

ek saman khulta hua sa ek faza be-dagh si
ab yahi manzar mere ham-rah chalta jaega

chhu sakegi ab na mere hath tufani hawa
jis diye ko ab jala dunga wo jalta jaega