aasman bhi pukarta hai mujhe
aashiyan bhi lubha raha hai mujhe
aks aaKHir kahan gaya mera
aaina kyun chhupa raha hai mujhe
mujh mein suraj uga ke chahat ka
wo sawera sa kar gaya hai mujhe
gham ki barish se ban gai dariya
ek samundar bula raha hai mujhe
subh ki sard si faza thi main
gham ka suraj tapa raha hai mujhe
mere andar bhanwar bhi hai koi
tujh se mil kar pata chala hai mujhe
main rida hun jo bewafai ki
kyun musalsal tu oDhta hai mujhe
KHub-surat se gul ka paikar hun
apne anjam ka pata hai mujhe
ek aisi ghazal hun main 'sima'
har koi gunguna raha hai mujhe
Ghazal
Aasman bhi pukarta hai mujhe
Seema Sharma Meeruthi