اردو हिंदी
Aashna na-ashna yaron ke beach | Shaahi Shayari
aashna na-ashna yaron ke beach

Ghazal

Aashna na-ashna yaron ke beach

Ishaq Athar Siddiqui

;

aashna na-ashna yaron ke beach
munqasim hun kitni diwaron ke beach

sans bhi lete nahin kya raste
kya hawa bhi chup hai diwaron ke beach

ek bhi pahchan mein aati nahin
suraten kitni hain bazaron ke beach

dekhna hai kis ko hoti hai shikast
aaina hai ek talwaron ke beach

kaisi dharti hai ki phaTti bhi nahin
raqs majburi hai muKHtaron ke beach

apna apna kasa-e-gham lae hain
hai numaish si azadaron ke beach

hai unhi se raunaq-e-bazm-e-hayat
phul khilte hain jo angaron ke beach

kya shua-e-mehr aati hai kabhi
aasman bar-dosh diwaron ke beach

hum bhi 'athar' 'mir' sahab ke tufail
sher kahte hain tarah-daron ke beach