aashna gham se mila rahat se begana mila
dil bhi hum ko KHubi-e-qismat se diwana mila
bulbul-o-gul sham-o-parwana ko hum par rashk hai
dard jo hum ko mila sab se juda-gana mila
hum ne saqi ko bhi dekha pir-e-mai-KHana ko bhi
koi bhi in mein na raaz-agah-e-mai-KHana mila
sab ne daman chaak rakkha hai ba-qadr-e-ehtiyaj
hum ko diwanon mein bhi koi na diwana mila
hum to KHair aashufta-saman hain hamara kya sawal
wo to sanwaren jin ko aaina mila shana mila
kya qayamat hai ki ai 'ajiz' hamein is daur mein
taba shahana mili mansab faqirana mila

Ghazal
Aashna gham se mila rahat se begana mila
Kaleem Aajiz