aashiqon ko ai falak dewega tu aazar kya
dushman-e-jaan un ka thoDa hai dil-e-bimar kya
rashk aawe kyun na mujh ko dekhna us ki taraf
TakTaki bandhe hue hai rauzan-e-diwar kya
aah ne to KHema-e-gardun ko phunka dekhen ab
rang late hain hamare dida-e-KHun-bar kya
murgh-e-dil ke waste ai ham-safiro kam hai kyun
kuchh qaza ke tir se tir-e-nigah-e-yar kya
chal ke mai-KHane hi mein ab dil ko bahlao zara
'aish' yan baiThe hue karte ho tum begar kya
Ghazal
Aashiqon ko ai falak dewega tu aazar kya
Aish Dehlvi