اردو हिंदी
Aashiqi mein KHamushi mumkin hai na-mumkin nahin | Shaahi Shayari
aashiqi mein KHamushi mumkin hai na-mumkin nahin

Ghazal

Aashiqi mein KHamushi mumkin hai na-mumkin nahin

Makhmoor Jalandhari

;

aashiqi mein KHamushi mumkin hai na-mumkin nahin
kya karun mujh se to zabt-e-iltija mumkin nahin

talib-e-azar ishq aur husn aasaish-pasand
tu bhi ho mera sharik-e-muddaa mumkin nahin

main jo miT jaun to badlun rang-o-bu ka pairahan
aalam-e-ijad mein meri fana mumkin nahin

har jagah jalwe tere meri nazar ke sath hain
main pukarun tu na ho jalwa-numa mumkin nahin

sazish-e-dariya-o-sahil se to mumkin hai magar
mujh ko ye maujen Dubo den na-KHuda mumkin nahin

jis nazar ko mere dard-e-dil ka bhi irfan na ho
wo nazar ho jae aalam-ashna mumkin nahin