aashiq-e-haq hain hamin shikwa-e-taqdir nahin
pech-e-qismat ka kam-az-zulf-e-girah-gir nahin
bas ki aahon se asiron ke bahe laKHt-e-jigar
be-nagin aaj koi KHana-e-zanjir nahin
kushtani pas to aa jae magar tere pas
neza-o-tir hi hai dashna-o-shamshir nahin
sab ke is umr mein ho jate hain aise hi hawas
tujh se kuchh shikwa hamein ai falak-e-pir nahin
ghar ki virani ko kya roun ki ye pahle se
tang itna hai ki gunjaish-e-tamir nahin
aadamiyat nahin tujh mein ye adu ki hai gharaz
yun pari kahne mein mana teri tahqir nahin
jumbish abru ko hai lekin nahin aashiq pe nigah
tum kaman kyun liye phirte ho agar tir nahin
himmat-e-murgh-e-sahar-KHwan ka hun qail ki use
nale se zamzama maqsud hai tasir nahin
apne ustad ke andaz pe mera hai kalam
mujh ko 'nazim' hawas-e-pairwi-e-'mir' nahin
Ghazal
Aashiq-e-haq hain hamin shikwa-e-taqdir nahin
Syed Yusuf Ali Khan Nazim