aas hi se dil mein paida zindagi hone lagi
shama jalne bhi na pai raushni hone lagi
intiha-e-ishq hai kaisi jafa kaisa gila
ab to un ki har KHushi apni KHushi hone lagi
rok apna hath rok ab ai junun-e-jama-dar
husn-e-parda-dar ki parda-dari hone lagi
uljhi uljhi sans ghabrai nazar bahke qadam
ai nigar-e-mast duniya dusri hone lagi
chand mera kahkashan meri gul-o-ghuncha mere
tum mere hone lage duniya meri hone lagi
Dube tare jhilmilai shama shabnam ro paDi
intizar-e-subh tha lo subh bhi hone lagi
soz-e-dil se raushni hone lagi dil mein 'nazir'
ishq ki duniya bhi duniya husn ki hone lagi
Ghazal
Aas hi se dil mein paida zindagi hone lagi
Nazeer Banarasi