aarzuon ka hasin paikar tarash
ek sarab-e-subh ka manzar tarash
ek gharaunda reg-e-sahil se bana
barf ke patthar se ek dilbar tarash
dida-e-namnak se dariya baha
aah-e-shoala-bar se mahshar tarash
is hisar-e-zat se bahar nikal
gumbad-e-be-dar mein tu ek dar tarash
bahr-e-ishrat mein sadaf milta nahin
qatra-e-KHun-nab se gauhar tarash
tegh-e-zang-alud ko phir aab de
jabr-o-istibdad ke phir sar tarash
tair-e-KHwahish ki lambi hai uDan
us ke baal-o-par ko tu akasr tarash

Ghazal
Aarzuon ka hasin paikar tarash
Sajjad Syed