aarzu nakaam ho kar rah gai hai
zindagi ilzam ho kar rah gai hai
KHwab tabiron ke mani puchhte hain
nind be-anjam ho kar rah gai hai
yaad bhi qatil ki hai shamshir qatil
raat KHun-asham ho kar gai hai
waqt ne dastar ki surat badal di
ab to ye ehram ho kar rah gai hai
zahr mein Dubi hui ek muskurahaT
maut ka paigham ho kar rah gai hai
nachti hain dhan ke kheton mein pariyan
ye ghaTa inam ho kar rah gai hai
guftugu-e-dil ba-unwan-e-mohabbat
sar-ba-sar ilzam ho kar rah gai hai
gardish jam-o-subu ko kya hua hai
gardish-e-ayyam ho kar rah gai hai

Ghazal
Aarzu nakaam ho kar rah gai hai
Qaisar Siddiqi