aarzu ko ruh mein gham ban ke rahna aa gaya
sahte sahte hum ko aaKHir ranj sahna aa gaya
dil ka KHun aankhon mein khinch aaya chalo achchha hua
meri aankhon ko mera ahwal kahna aa gaya
sahl ho jaegi mushkil zabt soz o saz ki
KHun-e-dil ko aankh se jis roz bahna aa gaya
main kisi se apne dil ki baat kah sakta na tha
ab suKHan ki aaD mein kya kuchh na kahna aa gaya
jab se munh ko lag gai 'aKHtar' mohabbat ki sharab
be-piye aaThon pahar madhosh rahna aa gaya
Ghazal
Aarzu ko ruh mein gham ban ke rahna aa gaya
Akhtar Ansari