aarzu hai wafa kare koi
ji na chahe to kya kare koi
gar maraz ho dawa kare koi
marne wale ka kya kare koi
koste hain jale hue kya kya
apne haq mein dua kare koi
un se sab apni apni kahte hain
mera matlab ada kare koi
chah se aap ko to nafrat hai
mujh ko chahe KHuda kare koi
us gile ko gila nahin kahte
gar maze ka gila kare koi
ye mili dad ranj-e-furqat ki
aur dil ka kaha kare koi
tum sarapa ho surat-e-taswir
tum se phir baat kya kare koi
kahte hain hum nahin KHuda-e-karim
kyun hamari KHata kare koi
jis mein lakhon baras ki huren hon
aisi jannat ko kya kare koi
is jafa par tumhein tamanna hai
ki meri iltija kare koi
munh lagate hi 'dagh' itraya
lutf hai phir jafa kare koi
Ghazal
Aarzu hai wafa kare koi
Dagh Dehlvi