aarzu dil mein banae hue ghar hai bhi to kya
us se kuchh kaam bhi nikle ye agar hai bhi to kya
na wo puchhe na dawa de na wo dekhe na wo aae
dard-e-dil hai bhi to kya dard-e-jigar hai bhi to kya
aap se mujh ko mohabbat jo nahin hai na sahi
aur ba-qaul aap ke hone ko agar hai bhi to kya
der hi kya hai hasinon ki nigahen phirte
mujh pe do din ko inayat ki nazar hai bhi to kya
subh tak kaun jiyega shab-e-tanhai mein
dil-e-nadan tujhe ummid-e-sahar hai bhi to kya
main ba-dastur jalunga ye na hogi 'muztar'
meri sathi shab-e-gham sham-e-sahar hai bhi to kya
Ghazal
Aarzu dil mein banae hue ghar hai bhi to kya
Muztar Khairabadi