aaraish-e-KHayal bhi ho dil-kusha bhi ho
wo dard ab kahan jise ji chahta bhi ho
ye kya ki roz ek sa gham ek si umid
is ranj-e-be-KHumar ki ab intiha bhi ho
ye kya ki ek taur se guzre tamam umr
ji chahta hai ab koi tere siwa bhi ho
TuTe kabhi to KHwab-e-shab-o-roz ka tilism
itne hujum mein koi chehra naya bhi ho
diwangi-e-shauq ko ye dhun hai in dinon
ghar bhi ho aur be-dar-o-diwar sa bhi ho
juz dil koi makan nahin dahr mein jahan
rahzan ka KHauf bhi na rahe dar khula bhi ho
har zarra ek mahmil-e-ibrat hai dasht ka
lekin kise dikhaun koi dekhta bhi ho
har shai pukarti hai pas-e-parda-e-sukut
lekin kise sunaun koi ham-nawa bhi ho
fursat mein sun shaguftagi-e-ghunche ki sada
ye wo suKHan nahin jo kisi ne kaha bhi ho
baiTha hai ek shaKHs mere pas der se
koi bhala sa ho to hamein dekhta bhi ho
bazm-e-suKHan bhi ho suKHan-e-garm ke liye
taus bolta ho to jangal hara bhi ho
Ghazal
Aaraish-e-KHayal bhi ho dil-kusha bhi ho
Nasir Kazmi