aap sultan hua kije gada hum bhi nahin
is qadar to gae-guzre ba-KHuda hum bhi nahin
ab ana ko kare sajda to mohabbat hi kare
jabha-sa aap nahin nasiya-sa hum bhi nahin
jaiye jaiye mat dekhiye muD kar pichhe
aise shauqin-e-jafa KHar-e-wafa hum bhi nahin
chaara-e-sarkashi-e-dil karen allah allah
wo KHuda banda-nawaz aap to kya hum bhi nahin
dosti dushmani ab aap nibhaen to nibhaen
hum ko rabt aap se aisa koi baham bhi nahin
mehrban aap bhi hain aur bhi honge lekin
chahte to dil-e-nadan ka bura hum bhi nahin
lakh lailaen umaD aaen ghazal par 'rahil'
aaKHir is dasht ki aawara sada hum bhi nahin

Ghazal
Aap sultan hua kije gada hum bhi nahin
Raheel Farooq