aap shayad bhul baiThe hain yahan main bhi to hun
is zamin aur aasman ke darmiyan main bhi to hun
haisiyat kuchh bhi nahin bas ek tinke ki tarah
fikr-o-fan ke is samundar mein rawan main bhi to hun
be-sabab be-jurm patthar shahzadi ban gai
bas yahi thi ek sada-e-be-zaban main bhi to hun
inkisari paedari sab rawa-dari gai
jab takabbur ne kaha baDh kar myan main bhi to hun
aaj is andaz se tum ne mujhe aawaz di
yak-ba-yak mujh ko KHayal aaya ki han main bhi to hun
tere sheron se mujhe mansub kar dete hain log
naz hai mujh ko jahan tu hai wahan main bhi to hun
ruThna kya hai chalo main hi mana laun use
be-ruKHi se us ki 'nusrat' nim-jaan main bhi to hun
Ghazal
Aap shayad bhul baiThe hain yahan main bhi to hun
Nusrat Mehdi