aap kyun baiThe hain ghusse mein meri jaan bhare
ye to farmaiye kya zulf ne kuchh kan bhare
jaan se jae agar aap ko chahe koi
dam nikal jae jo dam aap ka insan bhare
liye phirte hain hum apne jigar-o-dil donon
ek mein dard bhare ek mein arman bhare
daman-e-dasht ne aansu bhi na puchhe afsos
main ne ro ro ke lahu saikDon maidan bhare
tegh-e-qatil ko gale se jo lagaya 'muztar'
khinch ke boli ki baDe aae tum arman bhare
Ghazal
Aap kyun baiThe hain ghusse mein meri jaan bhare
Muztar Khairabadi