اردو हिंदी
Aapko gardish-e-ayyam se Dar lagta hai | Shaahi Shayari
aapko gardish-e-ayyam se Dar lagta hai

Ghazal

Aapko gardish-e-ayyam se Dar lagta hai

Mohammad Abbas Safiir

;

aap ko gardish-e-ayyam se Dar lagta hai
aur hamein ishq ke anjam se Dar lagta hai

chashm-e-saqi ke ishaare mein nihan kya shai thi
hasrat-e-baada-e-gulfam se Dar lagta hai

zer-e-lab un ke tabassum se sukun mang to lun
apni hi jurat-e-nakaam se Dar lagta hai

nam jo aaTh-pahr wird-e-zaban rahta tha
ab ye wahshat hai usi nam se Dar lagta hai

hazrat-e-KHizar se thi rahbari ki KHwahish
ab usi KHwahish-e-nakaam se Dar lagta hai

manzilen ishq ki be-KHauf-o-KHatar tai kin hain
ab ye aalam hai ki har gam se Dar lagta hai

kyun wazifa sahar-o-sham kiya tark 'safir'
kyun KHyal-e-sahr-o-sham se Dar lagta hai