اردو हिंदी
Aap ki mujh pe jab bhi nawazish hui | Shaahi Shayari
aap ki mujh pe jab bhi nawazish hui

Ghazal

Aap ki mujh pe jab bhi nawazish hui

Zafar Ansari Zafar

;

aap ki mujh pe jab bhi nawazish hui
mujh pe sang-e-malamat ki barish hui

zindagi bhar rahegi mujhe yaad wo
ishq mein jo meri aazmaish hui

mera bachpan mujhe yaad aane laga
titliyon ki jahan bhi numaish hui

mere daman pe kichaD uchhalta nahin
kya KHabar kya raqibon mein sazish hui

jhuT to jhuT tha jhuT hi wo raha
barha sach banane ki koshish hui

zulf bikhrae wo baam par aa gae
jab suhani ruton ki sifarish hui

kitna bad-zauq shahr-e-ghazal hai 'zafar'
bahre gunge ki har su sataish hui