aap ki aankhon ka tara aur hai
kya hua mera sahaara aur hai
ek nadi ke do kinaron ki tarah
rasta mera tumhaara aur hai
jaane ab kaisi KHabar ye laengi
in hawaon ka ishaara aur hai
aap marham hi lagate rah gae
kya kahen ye dard sara aur hai
aap ki badli nigahen kah rahin
ab nahin mera guzara aur hai
puchhne walon ko 'sarhad' ne kaha
main nahin gardish ka mara aur hai

Ghazal
Aap ki aankhon ka tara aur hai
Seema Sharma Sarhad