aap hi apna safar dushwar-tar main ne kiya
kyun malal-e-furqat-e-diwar-o-dar main ne kiya
mere qad ko napna hai to zara is par nazar
choTiyan unchi thin kitni jin ko sar main ne kiya
chal diya manzil ki jaanib karwan mere baghair
apne hi shauq-e-safar ko ham-safar main ne kiya
manzilen deti na thin pahle mujhe apna suragh
phir junun mein manzilon ko rahguzar main ne kiya
har qadam kitne hi darwaze khule mere liye
jaane kya socha ki KHud ko dar-ba-dar main ne kiya
lafz bhi jis ahd mein kho baiThe apna e'tibar
KHamushi ko is mein kitna mo'tabar main ne kiya
zindagi tartib to deti rahi mujh ko 'nasim'
apna shiraaza magar KHud muntashar main ne kiya
Ghazal
Aap hi apna safar dushwar-tar maine kiya
Naseem Sahar