aao tum hi karo masihai 
ab bahalti nahin hai tanhai 
tum gae the to sath le jate 
ab ye kis kaam ki hai binai 
hum ki the lazzat-e-hayat mein gum 
jaan se ek mauj-e-tishnagi aai 
ham-safar KHush na ho mohabbat se 
jaane hum kis ke hon tamannai 
koi diwana kahta jata tha 
zindagi ye nahin mere bhai 
awwal-e-ishq mein KHabar bhi na thi 
izzaten baKHshti hai ruswai 
kaise pao mujhe jo tum dekho 
sath-e-sahil se meri gahrai 
jin mein hum khel kar jawan hue 
wahi galiyan huin tamashai
        Ghazal
Aao tum hi karo masihai
Obaidullah Aleem

