aao koi tafrih ka saman kiya jae
phir se kisi waiz ko pareshan kiya jae
be-laghzish-e-pa mast hun un aankhon se pi kar
yun mohtasib-e-shahr ko hairan kiya jae
har shai se muqaddas hai KHayalat ka rishta
kyun maslahaton par use qurban kiya jae
muflis ke badan ko bhi hai chadar ki zarurat
ab khul ke mazaron pe ye elan kiya jae
wo shaKHs jo diwanon ki izzat nahin karta
us shaKHs ka bhi chaak gareban kiya jae
pahle bhi 'qatil' aankhon ne khae kai dhoke
ab aur na binai ka nuqsan kiya jae
Ghazal
Aao koi tafrih ka saman kiya jae
Qateel Shifai