aao hum tum ishq ke izhaar ki baaten karen
Dal kar banhon mein bahen pyar ki baaten karen
phul ki baaten karen gulzar ki baaten karen
pyar ki baaten karen bas pyar ki baaten karen
baat hum donon ko ye to sochni hi chahiye
pyar ke mausam mein kyun takrar ki baaten karen
is se achchhi baat koi aur ho sakti nahin
yar ka afsana chheDen yar ki baaten karen
kash bachpan luT aae aur hum sab baiTh kar
kachchi miTTi ke dar-o-diwar ki baaten karen
shukriya bazariyat ki raushni ka shukriya
ganw ki pagDanDiyan bazar ki baaten karen
kaba-o-kashi ke qisse ho chuke ab bas karo
aao 'qaisar' naqsh-e-pa-e-yar ki baaten karen

Ghazal
Aao hum tum ishq ke izhaar ki baaten karen
Qaisar Siddiqi