aansu hai qimti jo hamari palak mein hai
wo baat phir kahan jo faqat ek jhalak mein hai
hum bhi usi tarah se zamane ke bich hain
jis tarah se wo ek sitara falak mein hai
gamlon mein phul KHub sajae hain aap ne
lekin wo baat kab jo chaman ki mahak mein hai
hum kab ye kah rahe hain nahin artist aap
wo baat to nahin hai jo upar dhanak mein hai
hai kam-libasiyon ki baDi dhum aaj-kal
lekin ye ghaur kijiye chuDi khanak mein hai
haalat itne bigDe hain duniya ke har taraf
is waste 'wasiya' ka dil bhi kasak mein hai
Ghazal
Aansu hai qimti jo hamari palak mein hai
Fatima wasia Jayasi