aansu apni chashm-e-tar se niklen to
taza-dam ho jaen ghar se niklen to
bimaron ko thoDa sa aaram mile
bahar dast-e-chaara-gar se niklen to
sachchai se parda bhi haT sakta hai
aKHbaron mein chhapi KHabar se niklen to
na-mumkin hai wapas lauTen KHali hath
chand pakaDne lekin ghar se niklen to
manzar mein kirdar hamara bhi aa jae
shart hai pahle pas-manzar se niklen to

Ghazal
Aansu apni chashm-e-tar se niklen to
Raziq Ansari